These thoughts came to me as I wandered lonely as a cloud in the Metro today...
Sone chandi se kisiki bhookh nahin mit-ti hai
Five Star main bhi, Gehun ki roti milti hai.
Nature Spa ki liye hazaron meel door kya jaana,
Tension to colony ke garden main bhi door ho sakti hai
Switzerland ke pahad bhi, pathar ke hi bane hote hain
Himalay ke pahad par bhi, baraf utni hi chamakti hai
Hospitals ki star rating ko kya dekhna
Sui chubne par, wahan par bhi utni hee takleef hoti hai
Aur Five Star main bhi, Gehun ki roti milti hai.
Chehre par 'Fair & Handsome' ragadne se, kiski kismet chamakti hai
Waqt ane par Kareena bhi, Shahid se bore ho sakti hai
Taj Mahal jaise ghar khade karne se kya fayda
Pyar na hone par, isme bhi mahabharat ki jang chidti hai
Rakhi ka tyohar, na jaane kab Gifting ka Karobar ban gaya
Soot ki rakhi baandhe ya Platinum ki, behen to akhir behen hoti hai
Aur Five Star main bhi, Gehun ki roti milti hai.
20 Megapixel ka camera ka hard disk, na jaane kab crash ho jaye
Sunehri yaaden to hamesha dil main basi hoti hain
France ka cut glass bhi, bina pani ke pyaas nahin bujha sakta
Bartan chandi ka ho ya mitti ka, mamta ki daal se hi bhook mit-ti hai
Amir ho ya gareeb, ‘Aiye Riyaz’,
ant main to sabhi ko do gaz ki zameen hi milti hai
Aur Five Star main bhi, Gehun ki roti milti hai.
- Riyaz Hyderabadi